Ads 468x60px

Labels

Tuesday, February 22, 2011

0064

Ab K Milenge To Khoob Rulaayenge Uss Sang Dill Ko..
Suna Hai Rote Me Usko Lipat Jaane Ki Aadat Hai..!

Saturday, February 19, 2011

0063

Kyun Wo Aaj Bhi Is Dil Me Shamil Hai Kashish..
Jo Keh Ke Gaya Tha Ke Main Uske Kabil Nahi....
~ Kashish

0062

Ab Neend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,
Wo Dour Chala Gaya Hai Jis K Liye Hum Jaga Karte They.
~ Ahmad Faraz

Monday, February 14, 2011

0061

Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai.

0060

Pehli Mulaqaat Thi Aur Hum Dono Hi Bebas The..
Wo Zulfain Na Sambhal Paaye Aur Hum Khud Ko..

0059

Bas ek hi rang chhaya hai uska mujh par. . .
Aur log kehte hain ki main rangeen bahut hu..

0058

Teri yadoon ki barish barasti hai jab bhi,
Mein bheegti zaroor hun magar palkoon ki had tak.
~Kalpana

0057

Palkon ki had ko tod kar, daaman pe aa gira
Ek aansu mere sabr ki toheen kar gaya...

0056

मेरा बस चले तो आपकी अदाये खरीद लु, अपने जीने के लिये आपकी वफाये खरीद लु |
कर सके जो हर वक़्त दीदार आपका, सब कुछ लुटा के वो निगाहे खरीद लु
||

Sunday, February 13, 2011

0055

Woh iss chah mein rehte hain ki hum unko unse mange.....
"MAHI"
aur hum is guroor me rehte he k hm apni hi cheez maanga nahi krte..

Friday, February 11, 2011

0054

Kaise Keh Doon Ki Mujhe Chorr Diya Hai Usne..
Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Rusvaii Ki..
~ Nandini

0053

Main Bujh Gayi To Humesha K Liye Bujh Hi Jaungi..
Koi Shama Nahi Hoon Jo Fir Tu Jala Hi Lega...
~Nandini

Thursday, February 10, 2011

0052

Ro Pada Wo Shakhs Alvida Kehte Kehte..
Meri Sharartoun Par Jo Deta Tha Dhamkiyaan Judaai Ki...!!!

0051

Tere Khayal Me Kuch Aise Bikhra Hoon..
Jaise Koi Baccha Kitabein Idhar Udhar Kar De..

Wednesday, February 9, 2011

0050

Meri Palkon Ka Ab Neend Se Koi Talluq Nhi hai...
Wo Kis Ka Hai.. Is Soch Me Meri Raat Guzar jati Hai...