Ads 468x60px

Labels

Thursday, December 22, 2011

0277


Itne Barson Mein Khud Ko Mukamal Banya Us Ke Bad Faraz..
….Wo Saamne Kya Aaya Phir Toot Kar Bikhar Gaye...!!

0276

Sirf Ek Baar Aao Meri Ankhon Ke Raste Dil Mein.. 
Phir Lautne Ka Irada Tum Pe Chhor Denge..!!!

0275

Haal Yeh Hai Ke Teri Yaad Mein Gum Hoon..,
Sab Ko Meri, Aur MujhKo Teri Pari Rehti Hai..!

0274

आज फिर से उसकी की यादों में खो गया मैं ..
पूछा जो मुझ से किसी ने मोहब्बत का सफ़र कैसा था...

Aaj Phir Se Uski Yaadon Mein Kho Gaya Main..
Poochha Jo Mujhse Kisi Ne Mohabbat Ka Safar Kaisa Tha...

0273

Aaine Teri Bhi Halat Ajeeb He Mere Dil Ki Tarha..!
Tujhe Bhi Badal Dete Hen Ye Log Todne Ke Baad..!

Wednesday, December 21, 2011

0272

Main To Khud Apne Liye Bhi Ajnabi Si Ban Gayi Hoon,
Tu Bata Mujhse Juda Ho Kar Tujhe Kaisa Laga... 

Friday, December 16, 2011

0271

Akela Waris Huun Main Uskii NafratoN Ka.. 
Jo Shakhs Saare Shehar Mein Pyaar Baant’ta Hai…!!

Monday, December 12, 2011

0270


Meri Chahat Ko Muqaddar Mile Ya Na Mile "Mohsin";
Raahat Zaroor Mil Jaati Hai Tujhe Apna Soch Kar..!!

Friday, December 9, 2011

0269

Youn Na Khaich Apni Taraf Mujhe Be-Bas Kar Ke.,
Ke Khud Se Bhi Bichar Jaun, Aur Tu Bhi Na Mile.....

Thursday, December 8, 2011

0268

Tadapta Hai , Sisakta Hai , Tarasta Hai Magar..
Usse Keh Do Kisi Ke Hijr Mein Marta Nahi Koi..

0267

Yeh Wafa Ki Sakht Rahein Yeh Tumhare Payein Nazuk;
Na Lo Intaqam Mujh Se Mere Sath Sath Chal Kar..!!

0266

Kitne Ghuroor Se Woh Mujhe Tanha Chhod Gaya,
Usse Maloom Hai Mere Paas Koi Aur Nahi Us Ki Siwa....

0265

Haan Mujhe Rasm-E-Muhabbat Ka Saleeqa Hi Nahi,
Jaa Kisi Aur Ka Hone Ki Ijazat Hai Tujhey..

0264

Na Wo Din Rahe Na Wo Mehfilein Na Wo Jaan Se Aazeez Log,
Waqt Chheen Ke Le-Gaya Mere Apne Mujh Se Kahan Kahan..

0263

Us K Chor Jaane Ke Baad Ab Mohabbat Nahi Karte Kisi Se...,
Thodi Si Hi To Umar Hai Kis Kis Ko Aazmatey Phirein.!!